Friday, 24 November 2006

Proud to be a Hyderabadi

hi guys!
Enjoy being a Hyderabadi.
Yeh Mera HYDERABAD

Woh GOKUL ki pani puri,
woh Radhe-Shyman ki chaat,
Woh Famous ki ice cream,
Wah usme thi kuch baat.

Woh Agra Wala ki mithai,
woh MInerva ka dosa,
Woh Dimmy ki pav bhaji
Aur raste ka samosa.

Woh open-top Bus ka 'suffer',
woh Necklace ki hawa,
Woh Tand Bund ke Statues,
Aur subah-subah Joggers ka sama.

Woh December ki zara si sardi,
woh baarishon ke mahine,
Woh garmi ki chuttiyan,
Jab choote they paseene.

Woh Holi ki masti, woh Navratri ka Garba,
Woh Diwali ke pataakhe
Aur Ganpati ka shor-o-Saraba.
Woh Liberty ki traffic,

Woh APSRTC ki rush,
Woh tadapti garmi mien,
Taj ka Barf-ka-Gola.

Woh Tank Bund ka mahol,
woh Pani ki leheren,
Woh doobte suraj ka nazaara,
Wah uska kya kehena.

Woh Sangeet ka popcorn
Aur Malls mein shopping,
Woh Banjara Hills ka nazara
Aur vaha ke Banglows.

Woh cinema ke queue, woh black ki ticket,
Woh Parade ground ka maidan,
jahaan bachche practice karte hain cricket.

Aur kitni karoon mein baddai,
Itni cheezen kehene ke baad,
Yeh shehar hain mera apna,
Jiska naam hai HYDERABAD



ba bye.
be Proud to be Hyderabadi.

1 comment:

Anonymous said...

Phir bhi dil hai Hyderabadi

Nice blog and good presentation.

Keep up the good work.
Visit our new web 2.0 blog, and leave your comments, pl.
Hyderabadiz.blogspot.com